Warzish No.4:
ye warzish 3 marhalo par mushtamil hai.is k triqe mundarja zain hain.
Pahla marhala:
farsh par bilkul sedhe khre ho jain.apni dono aeryo ko farsh se upar uthain
aur jis qadar tan kr khrey ho skte hain isi qadar tan kr khrey ho.phr apne dono
bazuoo ko tasweer k mutabiq upar le jain.ap ki kohniya ap k sir se lg jain
jaisa k tasweer main dekhaya gya hai.phr bazuoo ko pahli wali position par
lain.is amal ko musalsal wqfe k bgair taiz taiz dohrain.
Dusra marhala:
is marhaley main farsh par sedhe khre ho jain.dono pao apas main miley hue
ho.samney ki traf jhukain aur apne hatho ko ghutno se zra nechey lain.farsh se
hath lgane ki zrurat nhi.phr sedhe ho aur jism ko pechey tak le jain.jaisa k
tasweer main dekhaya gya hai.is amal ko bar bar dohrain.
Tesra Marhala:
farsh par kamar k bal lait jain.dono ko seene par is trah band lain k dayan
hath bain kandhey par aur bayan hath dain kandhey par ho.
tangain upar uthain aur ghutno ko is jgah rakh lain jhan dono bazuoo se
cross bna ho.jaisa k tasweer main dekhaya gya hai.is amal ko bar bar dohrain
hatho ko kandho par he rahne dain.is warzish se tango main lachak paida ho ge
aur rerh ki hadi bhi sedhi rhe ge.
0 Comments
Criticize Me If You Think I'm Doing Wrong !