PahliBaat
chota qad shaksiyat ko maskh kr deta hai.jab k lamba qad khubsurti aur
smart pan ki alamat smjha jata hai.aur phr chotey qad k admi ko zindagi main
kai trah ki dushwaryo ka samna bhi krna parta hai.police ka mahakma ho,fooj ka
mahakma ho ya degar sarkari idarey, in sab main lambey qad k admyo ko he bharti
kya jata hai.aur pasta qad admi chahey kaise he salahiyato ka hamil q na ho
usey mustrad kr dya jata hai.is lye chotey qad k masley par ab dunya bhar main
bri sanjeedgi se gor ho rha hai.hamarey muashrey main 5 foot 7 inch qad nehayat
munasib smjha jata hai.European mumalik main 6 foot se zyadah qad rkhne waley
ko qadar ki nigah se dekha jata hai.lakin aisai mumalik main europeo k mumalik
main qad chota paya jata hai.cheen,japan,thiland wagairah k logo k qad tu bohat
he chota hota hai.
chota qad rah jane k kai awamil ho skte hain.morosi asar,ab-o-hawa ya
jismani kamzoryan,bahar-haal qad chota rah janey ki koi bhi waja ho..chota qad
admi ki khawhish hoti hai k us ka qad barh jaye.
Qad Chota Q Rah Jata hai?
insani jism aik machine ki trah hai aur jism k andar mojood
antain,hadyan,sharyanain wagairah goya purzo ka kam krti hain.aur tazah khoon
endhan k tor par jism k har uzw ko rawa rkhta hai aur hamarey qad k barhne ya
kam hone par in aeza ki harkaat ka bohat gahra asar parta hai.drasal insan k
jism ki banawat bohat paichedah hai.insani jism un-ginat khulyo se mil kr bnta
hai.aur ap in hisso ko raishey kehte hain kuch raishey aise hote hain jo jism
ki bairooni satah par asar andaz hote hain aur baironi satah ko mazboot bnane
main kar gar sabit hote hain.jab k kuch raishey aise hote hain jo k dusrey
raisho ko jorney ka kaam krte hain.kuch raihsey hamarey jism ki nasain bnete
hain.kuch raishey patho ko bnaney aur sanwarney ka kaam sair anjaam dete hain
aur inhi raisho k majmuey ko uzw kehte hain.ab ye in raisho ki quwat hai k wo
uzw ko kis qadar taqatwar bnate hain.agar uzw ibteda main he kamzor ho tu
la-muhala hamarey qad par bura asar parta hai aur hamara qad chota rah jata
hai.
qad k chota rah jane main jism k nawahi nizamo ka bhi bohat hisa ha.ye
nawahi nizam ye hain.dhanchey ka nizam,hazmey ka nizam,nizam tanafus,pattho ka
nizam,touleed ka nizam,nizam bhao,nizam nafooz aur nizam tark...agar ye nizam
drust na ho tu qad chota rah jata hai.aur us ki munasbi nashu-numa nhi
hoti.agarcha hamarey jism main ye sab nizam apna apna kaam krte hain lakin ye
sab mil kr bhi kam krte hain aur in main se kisi aik nizam ki be-zabtagi degar
nizamo par burey asraat muratab krti hai.
Qad k chotey rah janey main sab se zyada jin cheez ka dakhal hota hai wo
hai rerh ki hadi ki na munasib nashunuma,baas oqat rarh ki hadi intehai galat
andaz main mur jati hai aur qad ki nashu-numa ruk jati hai.shayad ap nhi jantey
k hamari rerh ki hadi choti choti hadyo k 33 tukro(fiqreney) par mushtamil hoti
hai.ye tukrey dusri bafto k zarye jurey hote hain.agar rerh ki hadi ko puri
lambai par taan kr na rakah jay tu ye murne ki koshish krti hai.agar kmar ko
jhuka kr bethna ya chalna hamri adat bn jaye tu qad ka barhna bohat mushkil
hota hai.is lye koshish krni chiye k hum kbhi bhi jhuk kr na bethain bal k
kamar ko sedha taan kr betha jaye.agar hamain kamar ko jhuka kr aur aeza ko
dheela chor kr bethne k adat bn jain ya morosi tor par hamara qad chota rah
jaye tu phr hamain qad brahne k lye amli koshish krni chiye.
Qad chota rah jane ki aik aur aham wja verasat ka asar bhi hai.g han-shayad
ap hairan ho lakin ye haqeqat hai k bohat se logo k qad mahaz is lye chotey rah
jate hain k in k aba-o-ajdaad k qad chotey hote the.agar ap k waldain k qad
thigna hai tu yaqenan is ka asar ap k qad par bhi pre ga.ye zruri bhi nhi hai q
k bsa oqat thigney maa baap ki olaad draz qad bhi hoti hai lakin aisa bohat kam
hota hai.bahar haal sciency tahqeeqat se ye bat abhi mukammal tor par sabit nhi
ki ja ski k kya waqai qad par rang,awaz,andaz ki trah verasat ka asar parta
hai.mahireen ka kehna hai k qad par verasat ka 100% asar parta hai.agar aisa
hai bhi tu preshan,mayoos hone ki koi bat nhi q k is traqi yaftah dor main qad
ka barhana ab aisi koi na-mumkin bat nhi rhe.
agar insan koshish kre tu morosi tor par chota rah janey wale qad main
izafa kr skta hai.munasib khurak aur warzisho k baqaidah program se is kami par
qabu paya ja skta hai aur agar ap k waldain thigney hai lakin qudarti tor par
ap ka qad lamba hai tu yaqen manain aap dunya k khush qismat insan hain.lakin
khush qismati k ahsas main ye mat bhool jaye ga k chun-k ap lambey hain tu ap
ki olaad bhi lambey qad ki malik ho ge.nhi.hum apko bta chukey hain k qad par
verasat ka bohat gahra asar parta hai aur verasat se murad sirf maa baap he nhi
bal k dada,par dada bhi shamil hote hain.kehne ka matlab ye hai k agar aap k
maa baap thigney the.ap lambey ho gaye tu zruri nhi k ap ki olaad par bhi ap k
qad ka asar na ho aur ap ki olaad chotey qad ki rah jay.lehaza ap ko bachey ki
dekh bhaal bachpan se he shru kr deni chiye
bacho ki shru main he munasib andaz main dekh bhal ki jaye tu wo bahtreen
nashu numa pate hain aur umar k saht sath in k qad main izafa hota rahta hai.wo
achey qad kath aur dail dol k malik bnte hain.lehaza waldain agar in ki nashu
numa par tawojh dain tu koi wja nhi k in main koi jismani kmi rah jaye.bachey
ko khuli jgah par sulana chiye.charpai k bjaye chitai bahtar hoti hai jis se
kamar sedhi rahti hai aur jism k aeza mazboot hote hain chotey bachey late kr
amoman zor zor se hath pao chalatey rahte hain.chuna-chah inhen sakht zameen
par lita dya jay tu wo achi trah pao mar kr khoob waizish kre ga.aur jab wo bra
ho ga tu us ka jism intehai sedool,narm, aur lachakdar bne ga.aur qad bhi qabil
rashk bra ho ga.
0 Comments
Criticize Me If You Think I'm Doing Wrong !